Zoya Akhtar’s Dil Dhadakne Do is surely one of the most beautiful films made in Bollywood. Starring Anil Kapoor, Shefali Shah, Ranveer Singh, Priyanka Chopra, Anushka Sharma, and Farhan Akhtar, the movie was about a dysfunctional family and it connected very well with the audiences.
Today, Dil Dhadakne Do completes five years of its release, so let’s look at the list of the dialogues of the film that touched our hearts…
Agar koi alag tarah jeena chahta hai, toh usse jeene do, har dil apni hi tarah dhadakta hai, har dil dhadakne do…
Dil se faisla karo tumhe kya karna hai, dimaag tarkeeb nikaal lega…
Khel mein toh haar jeet lagi rehti hai, afsoos woh karte hai jinka khel khatam ho gaya ho…
Aaisa kyun hai ki jab koi saath hai toh insaan usse kitni baatein kehna bhool jaata hai, aur aaisa kyun hai ki jab koi door chala jaata hai, toh insaan ko kitni baatein yaad aati hai joh keh deni chahiye thi…
Duniya mein zubaane toh bahut hai, magar aaj kal har zubaan mein sirf paisa bolta hai…
Kehte hai kutton ki naak badi tezz hoti hai, magar khatra soongne ke mamle mein insaano ki naak ka bhi jawab nahi…
Insaan bhi ajeeb hote hai, baat kehni kisi se hai magar kehte kisi aur se hai, aur sabse zyada joh baat kehne mein sharmaate ya katrate hai, woh hai pyar ki baat, mohabbat ki baat…